Thursday, April 3, 2008

Intafada



Jahan nanhi jane uthale pathar
Apna mustakbil bachane ke liye
Umar 14 ke bache uthale hatiyar
Apni ammi ki azmat bachane ke liye
Jahan tera mera ghar safar ho jaye
Jahan budhe mar jaye
Bacho ko khilane ke liye
Yakeen aam ho jaye,subah bhari maut par
Dafan shaam ho jaye ,har zinda faut par
Ab thiturti hain woh
Sardiyo main kafan silwane ke liye
Sarhade roz nayi banti hain
Nakon par maye bacho ko janamati hain
Woh likh rahe hain arziyon par arziyan
Apni pehchan batane ke liye
Mhuyado ke naam par daga di hain
Hamare numayndo ki zabane si di hain
Americi imarto main ho rahi bethke
Hamari sarkar magar unki,banwane ke liye
Kyo? puchne par goli dag di jati hain
Tay shuda goliyo se jo phele hi mar jaye
Unki zinda komo ko phir saza di jati hain
Hukmaran bhar rahe hain botiya
Neev main apni kothiya banwane ke liye
Ab unki aankho main bagawat dhekte hain
Intjamiya kar raha hain koshishe
Woh aag bhujane ke liye
Khali kartoos hi bhar diye jayenge
Jo aayega is Inqalab ko dabane ke liye
Long Live Revolution