Wednesday, May 7, 2008

Waqt Ka Takaza


waqt takaza karta raha hamesha,
Na pucha kya beet rahi hain bitane wale par

Na mulk raha na koi ab mohabbat zameen se
Ab koi nahi hota heran vatan se jane wale par

Dard jab kushak ho jaye behne ke baad
Tab koi roti uhalta hain, aansu bahane wale par

Arziya dijiye yah kijiye dharna tay shuda jagah pe
Ab sarkari farman jata hain, hatiyar uthane wale par

Na jane kisko mili azadi,mazdur puchta hain
Dhihadi ab bhi wahi ladi jati hain,khoon pasina bahane wale par

Hukumat ke julm ki intiha nahi to aur kya hain
Goli daag ji jati hain ab parcha lagane wale par

2 Comments:

Blogger Noorjahan Momin said...

This comment has been removed by the author.

May 8, 2008 at 9:44 AM  
Blogger Unknown said...

bol ki lab azad hai terai,
bol zaba ab tak terey hai !
tera sutwa jism hai tera,
bol ki ja ab tak tere hai !!

aasman ki udan comrade milte hai lagtar sanghrsh k sath.....

May 15, 2008 at 4:18 AM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home