Sunday, May 8, 2005

Ho Gaya Hain

chupana bhi ab to dastur ho gaya hain,
woh dost mera kuch door ho gaya hain

nazakat nazdkiyan tay karti hain
magar woh kuch magrur ho gaya hain

kal ke baad aaj bhi aaye hain woh khawab main
shayad parcha hamara manzur ho gaya hain

unka zikr hi ab to kafi hain,
woh saksh naye sehar main mashoor ho gaya hain

yuhi to nahi woh so gaya zaldi,
koi kissa goya zarrur ho gaya hain

2 betiyon ko zehar dene ke baad khud ko bhi laga li faansi,
woh bhuda baap muflisi se mazbur ho gaya hain

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home